yun hi rahi jab dhalte suraj ki roshni dikhe,
rajni ki syaah silvaton ki boonde milen,
us pal tum un khwabon ko bun lena,
jinki khani kabhi likhi nahin gayi ||
yunhi agar mujhe tum mila jao kahin,
chun lena un lakiron ko jisme tere milne ki kahani likhi ho...
jab phulon ke rang se kismat ki syahi bhari ho
woh pal phir se likh dena..
likhna ki mere yaadon ki har parchai mein tum ho,
saanson ki gahrai se utari har pal ki mulakaton mein tum ho
waqt yun hin gujre tere saath ka lamha thamoon mai,
khoi chitthiyon mein teri parchai ka panna paoon mein...
toh yun hin kah dena teri yaadon ki parchai mein yeh raina kate,
ravi ki kir non mein bhi tera prakash dikhe||
No comments:
Post a Comment