Sunday, 27 November 2011

Aawaj

Door kahin se aayi ek aawaj, deep manion ko jodta hua koi taar,
mrig trishna ka ehsas hua, mano samandar jaise paas hua....
      bojhil sanson mein hua nav jivan ka sanchar,
      khoi hui yaadon ne paya ho jaise phir wahi pyar...

waqt jo main kahin tham aaya tha,
aaj phir se chalne ko utsuk hai...........

       Jane kyun main is baat ko samajh naa paya,
       manjil ki raah hi manjil hai...

Thame hue waqt mein hai nahi woh chahat,
jo hai; khain door teri aawaz ki aahat mein..
kuch kabhi kahin karne ki hai nayi chahat,
sayad kisi mod pe sun paoon teri aahat......


Sunday, 20 November 2011

Kahani

baat bahut purani hai, in phulon mein chipi kahani hai,
ek din ek bhanvre ko ek phool se pyar hua,
agle din phir milne ka ekrar hua....
                ishwar ka hua mayajal; agle din use ek nahi hazaron phool mile ek saman.............
                bhanvra yeh samajh na paya , ishwar ne jane kyun yeh khel rachaya..
tab us vrikch ne bhanvre ko batlaya,
usne aisa hi sansar rachaya,
man ki gati koi jaan na paya,
par swaym mein hin use rokne ka samrthya banaya.
          mira ko kan kan mein shyam nazar aaya
          isi karan usne khud ko usme samaya...
          sacchi nishtha hi hai jivan ka saar,
          toh phir milenge us ambar ke paar!!!!!!!!!!!!!